ग्रुप से जुड़ें

NTA Refund Portal Neet 2026: नीट परीक्षा के ₹1700 वापस दे रही NTA, मोबाइल से ऐसे भरें बैंक डिटेल्स @neet.nta.nic.in

On: 30/05/2026
NTA Refund Portal Neet 2026
---Advertisement---

NTA Refund Portal Neet 2026: Rashtriya Pariksha Agency Neet 2026 shulk wapas karne ka link jari kar diya hai. Neet UG ki pariksha 3 May ko aayojit hua tha usmein shamil huye ummidwaron ko aavedan shulk ki rashi wapas di ja rahi hai. Iska link activate kar diya hai aap portal ke madhyam se shulk wapas prapt kar sakte hain.

NTA Refund Portal Neet 2026: Overviews

Particulars (विवरण)Details (जानकारी)
Exam Name (परीक्षा का नाम)NEET UG 2026
Conducting Body (आयोजन संस्था)National Testing Agency (NTA)
Re-exam Date (पुनः परीक्षा की तारीख)June 2026
Fees Refund Start Date22 May 2026
Fees Refund Last Date22 June 2026
Refund Type (रिफंड का प्रकार)Application Fee Refund (परीक्षा शुल्क वापसी)
Official Website (आधिकारिक वेबसाइट)neet.nta.nic.in

Also Read –

Neet 2026 jo bhi chhatra pariksha mein shamil huye the woh sabhi apne aavedan shulk ko prapt karne ke liye bank passbook ki jankari deni hogi portal ko chalu kar diya gaya hai aur iska link bhi jari ho gaya hai. Paper leak ke karan Neet 2026 pariksha radd hua tha jiska ab phir se pariksha ka aayojan 21 June 2026 ko kiya gaya hai.

NTA Neet 2026 Refund Portal

NTA ki Neet 2026 adhikarik suchna ko jari kar diya gaya hai phir se pariksha ho rahi hai uske liye koi bhi atirikt shulk nahi liya jayega. Paper leak ke vivad ke karan hi is kadam ko uthaya gaya hai online ke madhyam se bank khaate ka vivaran dekar apne shulk ko wapas le sakte hain.

Neet UG 2026 Re-Exam Date & Times

Neet UG 2026 ki pariksha Ravivar ke din yaani 21 June ko dopahar 2:00 baje se lekar shaam ko 5:15 baje tak aayojit kiya jayega. NTA ne is pariksha ko Hindi, Telugu, English, Tamil, Urdu, Bengali, Marathi, Malayalam, Gujarati, Punjabi, Assamese, Odia aur Kannada samet tera bhashaon mein is pariksha ka aayojan karegi.

BoardTime & DAte
Time2:00PM to 5:15PM
Exam Date21 June 2026
Fees Refund Last Date22 June 2026
NTA Refund Portal Neet 2026
NTA Refund Portal Neet 2026

Neet Ug 2026 Fee Refund Amount

NTA Neet refund portal 2026 ki rashi chhatron ko kitni di jayegi neeche is prakar se diya gaya hai.

ParticularsExpected Amount
GeneralRs 1,700
OBCRs 1,600
EWS, SC, ST, PWDRs 1,600
NRIRs 9,500

Neet Ug 2026 Refund Amount Kaise Le

Jo bhi ummidwar Neet 2026 fee refund process ka dawa karna chahte hain toh neeche diye gaye sabhi step ko follow karna hoga jo is prakar se hai.

  • Sabse pehle aapko Neet UG 2026 ke adhikarik website neet.nta.nic.in par jaana hai.
  • Wahan par aapko login vikalp par click karna hoga.
  • Ab aap aavedan sankhya aur password ya janmtithi darj karna hai.
  • Iske baad aapke samne shulk wapas ya bank vivaran update karne par click karna hai.
  • Ab aap aasani se apna bank khaata ka sahi-sahi vivaran bhar denge.
  • Form ko sahi se bharne ke baad ek baar jaanch kar lena hai.
  • Shulk wapas form ko submit karne ke baad apne PDF ko sabhal kar rakh lein.

NTA Refund Neet 2026 Link

Neet Refund Link 2026Click Here
College PredictorClick Here
Rank PredictorClick Here
More Helpful ToolsClick Here
Official WebsiteClick Here

Leave a Comment